Ahbab…

Chand vajuhato se ruthe h ahbab mere…
Unhe manau ya chup reh jaun…
Kuch Alfaz likh hi dun unhe…
Ya apne hi azam main mehdud reh jaun…

Yun kured nhi pata hr Roz apni rooh ko…
Ki kuch iztiraab baya kr sake wo bhi…
Yun Ghast nhi laga pata hr Roz apne hi halat pr…
Ki koi ranjish suna sake wo bhi…

Kuch likhne ki khwahish kru bhi, toh…
Ye sehri mazma thahrne nhi deta…
Shor krne ki kosish nhi krta main…
Sabk apne tizarat h is khitte mein…
Kis-kis ki majburyion ka hisab lagaun…
Kis-kis ki Sunu, kis-kis ko sunaoun…

Lekin, Jafaa k tarane sune h bht se Maine…
Shikayato ka sauda krun aaj…
Ya Aaj bhi chup hi reh jaun…
Kuch azeez h wo bhi Mere…
Lamho main simat si rahi zindagi k bol unko bhi sunaoun…
Ya apne hi azam main mehdud reh jaun…

 

-Tanay/Abhinaw

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.